Istikhara Method In Urdu Tareeqa Istikhara Ka Tarika Dua

  Admin      
Istikhara Ka Tarika aur Istikhara Ki Dua: "Istikhara" ka masnoon tareeqa ye hai ke aadmi 2 rakat nafal istikhara ki niyat se parhay. Niyat ye karay keh mere samne 2 rastay hain, in main se jo rasta mere haq main behtar ho, Allah Ta'ala us ka faisla farma dain. Phir 2 rakat parhay.
 Istikhara Dua In English

Aur namaz se baad istikhara ki masnoon dua parhay jo Hazoor (SAW) ne talqeen farmayi hai.Ye bari ajeeb dua hai, Paighambar hi ye dua mang sakta hai aur kisi ke bas ki baat nahin, agar insan ayri choti ka zoor laga laita tou bhi aisi dua kabhi na kar sakta jo Nabi Kareem S.A.W ne talqeen farmaye. woh istikhara ki dua ye hai.
 
Istikhara Dua

What is istikhara? Istikhara Kya Hai? Kisi ahem mamlay main Allah se khair aur bhalayi talab karnay ko istikhara kehtay hain maslan Shadi, safar, job naya business start karna wagera kyoun keh insan ko malom nahin keh konsi cheez us ke liye khair aur konsi shar sabat ho gi. 
 
Urdu Translation Of Istikhara Dua:

Aay Allah! main aap ke ilm ka wasta de kar Aap se khair talab karta hon aur Aap ki qudrat ka wasta de kar main achai par qudrat talab karta hon. Aap ghaib ko jan'nay wale hain. Aay Allah! Aap ilm rakhtay hain, main ilm nahin rakhta. Yani ye mamla mere haq main behtar hai ya nahin, is ka ilm Aap ko hai mujhe nahin. Aap qudrat rakhtay hain aur mere andar qudrat nahin. Ya Allah! agar Aap ke iml main hai ke ye mamla (Is moqa par us mamla ka tasawar dil main laye jis ke liye istikhara kar raha hai) Mere haq main behtar hai. Mere deen ke liye bhi behtar hai, meri muash aur dunya ke aitbar se bhi behtar hai aur injam kar ke aitbar se bhi behtar hai tou is ko mere liye muqaddar farma dijiye aur is ko mere liye asaan farma dijiye aur is main mere liye barkat paida farma dijiye.Aur agar Aap ke ilm main ye baat hai ke ye mamla mere haq main bura hai, mere deen ke haq main bura hai ya meri dunya aur muash ke haq main bura hai ya mere anjam kar ke aitbar se bura hai tou is kaam ko mujh se phair dijiye aur mujhe is se phair dijiye, aur mere liye khair muqaddar farma dijiye jahan bhi ho. Yani agar ye mamla mere liye behtar nahin hai tou is ko tou choor dijiye aur is ke badle jo kaam mere liye behtar ho us ko muqaddar farma dijiye phir mujhe us par razi bhi kar dijiye aur us par mutmaen bhi kar dijiye.

2 rakat nafal parhnay ke baad Allah Ta'ala se ye dua kar li jaye tou bas istikhara ho gaya.

Istikhara Ka Waqt:

Baaz log ye samajhtay hain ke istikhara hamesha raat ko sotay waqt hi karna  chahiye ya Isha ki namaz ke baad hi karna chahiye. Aisa koi zaroori nahin balkeh jab bhi moqa milay us time kar lain. Na raat ki koi qaid hai aur na din ki koi qaid hai, na sonay ki koi qaid hai aur na jagnay ki koi qaid hai.

Istikhara Ka Khawab Ana Zaroori Nahin:

Baaz log ye samajhtay hain ke istikhara karne ke baad khwab aye ga aur Istikhara dream ke zariye humain bataya jaye ga keh ye kaam karo ye kaam na karo. Yaad rakhain! Khawab ana koi zaroori nahin ke khawab main koi baat zaroor batayi jaye ya khwab main koi ishara diya jaye, baaz martaba khawab main aa jata hai aur baaz martaba khawab main nahin ata.

Istikhara Ka Nateeja:

Baaz hazraat ka kehna hai ke istikhara karne ke baad khud insan ke dil ka rujhan aik taraf ho jata hai, bas jis taraf rujhan ho jaye woh kaam kar lay, aur bakasrat aisa rujhan ho jata hai. Lekin bilfarz agar kisi aik taraf dil main rujhan na bhi ho balkeh dil main kashmakash mojod ho tou bhi istikhara ka maqsad phir bhi hasil hai, is liye keh banda ke istikhara karne ke baas Allah Ta'ala  wohi kartay hain jo us ke haq main behtar hota hai. Is ke baad halaat aisay paida ho jatay hain phir wohi hota hota hai jis main banday ke liye khair hoti hai aur us ko pehle se pata bhi nahin hota. Baaz auqaat insan aik rastay ko bohat acha samajh raha hota hai lekin achanaq rukawatain paida ho jati hain aur Allah Ta'ala  us ko us banday se phair detay hain. Lihaza Allah Ta'ala istikhara ke baad asbaab aisay paida farma detay hain ke phir wohi hota hai jis main banday ke liye khair hoti hai. Ab khair kis main hai? Insan ko pata nahin hota lekin Allah Ta'ala faisla farma detay hain.


Tumhare Haq Main Yehi Behtar Tha:

Ab jub woh kaam ho gaya tou ab zahiri aitbar se baaz auqat aisa lagta hai ke jo kaam howa woh acha nazar nahin aa raha hai, dil ke mutabiq nahin hai, tou ab banda Allah se shiqwa karta hai ke Ya Allah main ne aap se mashwara aur istikhara kiya tha magar kaam woh ho gaya jo meri marzi aur tabiyat ke khilaf hai aur bazahir ye kaam acha malom nahin ho raha hai. Is par Hazrat Abdullah Bin Umar (R.A) farma rahe hain ke aray nadaan! tou apni mehdood aqal se soch raha hai keh ye kaam tere haq main behtar nahin howa, lekin jis ke ilm main sari kainaat ka nazaam hai woh janta hai ke tere haq main kya behtar tha aur kya behtar nahin tha, us ne jo kiya wohi tere haq main behtar tha. Baaz auqat dunya main tujhe pata chal jaye ga ke tere haq main kya behtar tha.
logoblog

No comments:

Post a Comment